aashna jab apni hasti se bashar ho jaega
āshnā jab apnī hastī se bashar ho jā.egā
rāz-e-haq se bhī yaqīnan bā-ḳhabar ho jā.egā
dahr meñ hassās-fitrat jab bashar ho jā.egā
pattharoñ kā shahr shīshe kā nagar ho jā.egā
Dūbte sūraj pe āḳhir tabsira maiñ kyoñ karūñ
har charāġh-e-shām tanvīr-e-sahar ho jā.egā
jab sitāra jhilmilā.egā sahar kī god meñ
ḳhud na.ī hastī kā sūraj jalva-gar ho jā.egā
āgahī ne toḌ dī maazī kī dīvāreñ ḳhamosh
ab jo lamha aa.egā vo mo'tabar ho jā.egā
thā ba-qaul-e-'mīr' dillī ek shahr-e-intiḳhāb
kyā ḳhabar thī vo bhī ḳhvāboñ kā nagar ho jā.egā
jaise guzre shahr se dīvāna koī be-ḳhabar
ziist se 'jagdīsh' apnā yuuñ guzar ho jā.egā
aashna jab apni hasti se bashar ho jaega
raaz-e-haq se bhi yaqinan ba-KHabar ho jaega
dahr mein hassas-fitrat jab bashar ho jaega
pattharon ka shahr shishe ka nagar ho jaega
Dubte suraj pe aaKHir tabsira main kyon karun
har charagh-e-sham tanwir-e-sahar ho jaega
jab sitara jhilmilaega sahar ki god mein
KHud nai hasti ka suraj jalwa-gar ho jaega
aagahi ne toD di mazi ki diwaren KHamosh
ab jo lamha aaega wo mo'tabar ho jaega
tha ba-qaul-e-'mir' dilli ek shahr-e-intiKHab
kya KHabar thi wo bhi KHwabon ka nagar ho jaega
jaise guzre shahr se diwana koi be-KHabar
zist se 'jagdish' apna yun guzar ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.