aashna jab tak na the is jalwa-e-kaamil se hum
āshnā jab tak na the is jalva-e-kāmil se ham
haq se kosoñ duur the nazdīk the bātil se ham
husn-e-zan husn-e-adab husn-e-nazar husn-e-mazāq
aaj kyā kyā le chale haiñ husn kī mahfil se ham
ġharq karnā ho to kar de mauj-e-bahr be-kasī
kyā sahārā maañg leñ āsūda-e-sāhil se ham
but-parastī karte karte haq-parastī aa ga.ī
kaun sī manzil pe pahuñche kaun sī manzil se ham
rang o roġhan se 'musavvir' kuchh ġharaz rakhte nahīñ
khīñch lete haiñ shabīh-e-nāz ḳhūn-e-dil se ham
aashna jab tak na the is jalwa-e-kaamil se hum
haq se koson dur the nazdik the baatil se hum
husn-e-zan husn-e-adab husn-e-nazar husn-e-mazaq
aaj kya kya le chale hain husn ki mahfil se hum
gharq karna ho to kar de mauj-e-bahr be-kasi
kya sahaara mang len aasuda-e-sahil se hum
but-parasti karte karte haq-parasti aa gai
kaun si manzil pe pahunche kaun si manzil se hum
rang o roghan se 'musawwir' kuchh gharaz rakhte nahin
khinch lete hain shabih-e-naz KHun-e-dil se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.