aashna phir us sitam-ijad ka kyon kar hua
aashna phir us sitam-ijad ka kyon kar hua
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf
āshnā phir us sitam-ījād kā kyoñ kar huā
ai dil-e-nādāñ tū ġham meñ mubtalā kyūñkar huā
kyā adū se chal ga.ī kuchh banda-parvar aap kī
mere ghar is vaqt aanā aap kā kyūñkar huā
ho gayā kyā ro.ab-o-dāb-e-husn un kā ai ḳhudā
baat karne kā adū ko hausla kyūñkar huā
saḳhtiyāñ sahne se ho jaatā tahammul aap hī
phir mire aage bayāñ uzr-e-jafā kyūñkar huā
jab na pāmāl-e-ḳhirām-e-nāz thā ai fitna-gar
phir hamārā ab ke dil yuuñ surma sā kyūñkar huā
shoḳhiyāñ us shoḳh kī kyā kar ga.iiñ tujh meñ asar
ai dil-e-nādāñ tū itnā chulbulā kyūñkar huā
bul-havas kī sī vafādārī to maiñ ne kī na thī
phir tumhārā morid-e-jaur-o-jafā kyūñkar huā
sar mirā merī jabīn is baat kī thī mustahiq
sajda-gāh-e-ḳhalq us kā naqsh-e-pā kyūñkar huā
'lutf' se kis lutf se kahte haiñ saare aqrabā
kushta-e-nāz-e-butāñ mard-e-ḳhudā kyūñkar huā
aashna phir us sitam-ijad ka kyon kar hua
ai dil-e-nadan tu gham mein mubtala kyunkar hua
kya adu se chal gai kuchh banda-parwar aap ki
mere ghar is waqt aana aap ka kyunkar hua
ho gaya kya roab-o-dab-e-husn un ka ai KHuda
baat karne ka adu ko hausla kyunkar hua
saKHtiyan sahne se ho jata tahammul aap hi
phir mere aage bayan uzr-e-jafa kyunkar hua
jab na pamal-e-KHiram-e-naz tha ai fitna-gar
phir hamara ab ke dil yun surma sa kyunkar hua
shoKHiyan us shoKH ki kya kar gain tujh mein asar
ai dil-e-nadan tu itna chulbula kyunkar hua
bul-hawas ki si wafadari to main ne ki na thi
phir tumhaara morid-e-jaur-o-jafa kyunkar hua
sar mera meri jabin is baat ki thi mustahiq
sajda-gah-e-KHalq us ka naqsh-e-pa kyunkar hua
'lutf' se kis lutf se kahte hain sare aqraba
kushta-e-naz-e-butan mard-e-KHuda kyunkar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.