aasman aasman tha mera kab hua main zamin be-sada ye na malum tha
aasman aasman tha mera kab hua main zamin be-sada ye na malum tha
Shahnaz Rahmat
MORE BYShahnaz Rahmat
āsmāñ āsmāñ thā mirā kab huā maiñ zamīñ be-sadā ye na mālūm thā
is mohabbat ne toḌe haiñ ham par sitam tū bhī saudā.ī thā ye na mālūm thā
TuuTe ik taar se soz aur saaz se kitnī mushkil se joḌā thā ham ne jise
tinkā tinkā hai bikhrā vahī āshiyāñ aa.egī yuuñ balā ye na mālūm thā
terī fitrat meñ zālim hai saudāgarī terī mahfil meñ ulfat bhī biktī rahī
jhūTe va.adoñ se mere hasīñ ḳhvāb kā tū ne saudā kiyā ye na mālūm thā
pyaar tujh ko kiyā maiñ ne sachchā.ī se phir bhī ai chārāgar kyoñ kiyā ye sitam
mujh se muñh moḌ kar jā.egā chhoḌ kar tū nahīñ hai mirā ye na mālūm thā
jab bhī ham haar kar TuuT kar ro paḌe apnī qismat pe aur apne hālāt par
ik nayā azm le kar mirā hausla degā mujh ko sadā ye na mālūm thā
terī duniyā meñ yārab ye kaisā chalan kyoñ khilaunā samajhte haiñ dil ko sabhī
hogī majrūh merī javāñ-ārzū dard mil jā.egā ye na mālūm thā
mar chukā thā jahāñ meñ tū mere liye phir bhī mere ḳhayāloñ meñ zinda rahā
maiñ bhī murda sī duniyā meñ jī lūñgī yuuñ laash ban ke sadā ye na mālūm thā
merā dil jaane kyoñ bevafā dilrubā umr bhar ḳhvāb tere hī buntā rahā
tū kisī aur ke ḳhvāboñ kā ban chukā ek ta.abīr thā ye na mālūm thā
merī sāñsoñ ne mujh se baġhāvat hī kī to mirī saañs thā tū mirī ruuh bhī
tū ibādat mirī tū hī dhaḌkan mirī tū hī merā ḳhudā ye na mālūm thā
dil dhaḌaktā hai merā tire naam par merī sāñseñ bhī chaltī haiñ ehsās par
tū hī manzil mirī to mirī justujū tū mirā nāḳhudā ye na mālūm thā
be-sahārā huuñ maiñ huuñ nasīboñ jalī kitnī majbūr duniyā meñ huuñ nā-tavāñ
tū mirā to nahīñ phir bhī dil meñ to hai tū mirā aasrā ye na mālūm thā
ashk bahte rahe phir bhī hañstī rahī lab pe 'shahnāz' uf tak na maiñ lā sakī
merī sachchā.iyāñ hī mirī haiñ ḳhatā dil thā bāġhī mirā ye na mālūm thā
choT lagtī rahī hañs ke sahtī rahī lab pe 'shahnāz' uf tak na maiñ lā sakī
merī barbādiyoñ kā sabab ishq hai zindagī bevafā ye na mālūm thā
aasman aasman tha mera kab hua main zamin be-sada ye na malum tha
is mohabbat ne toDe hain hum par sitam tu bhi saudai tha ye na malum tha
TuTe ek tar se soz aur saz se kitni mushkil se joDa tha hum ne jise
tinka tinka hai bikhra wahi aashiyan aaegi yun bala ye na malum tha
teri fitrat mein zalim hai saudagari teri mahfil mein ulfat bhi bikti rahi
jhuTe wadon se mere hasin KHwab ka tu ne sauda kiya ye na malum tha
pyar tujh ko kiya main ne sachchai se phir bhi ai chaaragar kyon kiya ye sitam
mujh se munh moD kar jaega chhoD kar tu nahin hai mera ye na malum tha
jab bhi hum haar kar TuT kar ro paDe apni qismat pe aur apne haalat par
ek naya azm le kar mera hausla dega mujh ko sada ye na malum tha
teri duniya mein yarab ye kaisa chalan kyon khilauna samajhte hain dil ko sabhi
hogi majruh meri jawan-arzu dard mil jaega ye na malum tha
mar chuka tha jahan mein tu mere liye phir bhi mere KHayalon mein zinda raha
main bhi murda si duniya mein ji lungi yun lash ban ke sada ye na malum tha
mera dil jaane kyon bewafa dilruba umr bhar KHwab tere hi bunta raha
tu kisi aur ke KHwabon ka ban chuka ek tabir tha ye na malum tha
meri sanson ne mujh se baghawat hi ki to meri sans tha tu meri ruh bhi
tu ibaadat meri tu hi dhaDkan meri tu hi mera KHuda ye na malum tha
dil dhaDakta hai mera tere nam par meri sansen bhi chalti hain ehsas par
tu hi manzil meri to meri justuju tu mera naKHuda ye na malum tha
be-sahaara hun main hun nasibon jali kitni majbur duniya mein hun na-tawan
tu mera to nahin phir bhi dil mein to hai tu mera aasra ye na malum tha
ashk bahte rahe phir bhi hansti rahi lab pe 'shahnaz' uf tak na main la saki
meri sachchaiyan hi meri hain KHata dil tha baghi mera ye na malum tha
choT lagti rahi hans ke sahti rahi lab pe 'shahnaz' uf tak na main la saki
meri barbaadiyon ka sabab ishq hai zindagi bewafa ye na malum tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.