aasman bhi pukarta hai mujhe
āsmāñ bhī pukārtā hai mujhe
āshiyāñ bhī lubhā rahā hai mujhe
aks āḳhir kahāñ gayā merā
aa.ina kyuuñ chhupā rahā hai mujhe
mujh meñ sūraj ugā ke chāhat kā
vo saverā sā kar gayā hai mujhe
ġham kī bārish se ban ga.ī dariyā
ik samundar bulā rahā hai mujhe
sub.h kī sard sī fazā thī maiñ
ġham kā sūraj tapā rahā hai mujhe
mere andar bhañvar bhī hai koī
tujh se mil kar pata chalā hai mujhe
maiñ ridā huuñ jo bevafā.ī kī
kyuuñ musalsal tū oḌhtā hai mujhe
ḳhūb-sūrat se gul kā paikar huuñ
apne anjām kā patā hai mujhe
ek aisī ġhazal huuñ maiñ 'sīmā'
har koī gungunā rahā hai mujhe
aasman bhi pukarta hai mujhe
aashiyan bhi lubha raha hai mujhe
aks aaKHir kahan gaya mera
aaina kyun chhupa raha hai mujhe
mujh mein suraj uga ke chahat ka
wo sawera sa kar gaya hai mujhe
gham ki barish se ban gai dariya
ek samundar bula raha hai mujhe
subh ki sard si faza thi main
gham ka suraj tapa raha hai mujhe
mere andar bhanwar bhi hai koi
tujh se mil kar pata chala hai mujhe
main rida hun jo bewafai ki
kyun musalsal tu oDhta hai mujhe
KHub-surat se gul ka paikar hun
apne anjam ka pata hai mujhe
ek aisi ghazal hun main 'sima'
har koi gunguna raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.