aasman ek kinare se uTha sakti hun
āsmāñ ek kināre se uThā saktī huuñ
yaanī taqdīr sitāre se uThā saktī huuñ
apne paañv pe khaḌī huuñ tujhe kyā lagtā thā
ḳhud ko bas tere sahāre se uThā saktī huuñ
āñkheñ mushtāq hazāroñ haiñ magar soch ke rakh
terī tasvīr nazāre se uThā saktī huuñ
raakh ho jaa.e mohabbat kī havelī pal meñ
ik tabāhī maiñ sharāre se uThā saktī huuñ
maiñ agar chāhūñ to jiine kī ijāzat de kar
zindagī tujh ko ḳhasāre se uThā saktī huuñ
ism paḌhne kā irāda ho to fursat meñ 'sahar'
maiñ tujhe dil ke shumāre se uThā saktī huuñ
aasman ek kinare se uTha sakti hun
yani taqdir sitare se uTha sakti hun
apne panw pe khaDi hun tujhe kya lagta tha
KHud ko bas tere sahaare se uTha sakti hun
aankhen mushtaq hazaron hain magar soch ke rakh
teri taswir nazare se uTha sakti hun
rakh ho jae mohabbat ki haweli pal mein
ek tabahi main sharare se uTha sakti hun
main agar chahun to jine ki ijazat de kar
zindagi tujh ko KHasare se uTha sakti hun
ism paDhne ka irada ho to fursat mein 'sahar'
main tujhe dil ke shumare se uTha sakti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.