aasman ishq ki azmat ke siwa bhi kuchh hai
āsmāñ 'ishq kī 'azmat ke sivā bhī kuchh hai
kyā ye sahrā mirī vahshat ke savā bhī kuchh hai
muuñd luuñ aañkh to be-kār hai sab rañg-e-jahāñ
kyā mirī chashm-e-ināyat ke sivā bhī kuchh hai
kuchh to hai jis ke batāne se huuñ qāsir lekin
ab tire dard meñ lazzat ke sivā bhī kuchh hai
merī āñkhoñ se koī us kā sarāpā dekhe
tab khulegā ki qayāmat ke sivā bhī kuchh hai
har ta'alluq kisī qīmat kā talab-gār nahīñ
dil ke saude meñ tijārat ke sivā bhī kuchh hai
haañ vo ik lamha ki haq-goī pe gardan kaT jaa.e
yā'nī tā-'umr 'ibādat ke sivā bhī kuchh hai
husn sab husn-e-tabī.at pe hai mauqūf 'nadīm'
yā kahīñ husn-e-tabī.at ke sivā bhī kuchh hai
aasman 'ishq ki 'azmat ke siwa bhi kuchh hai
kya ye sahra meri wahshat ke sawa bhi kuchh hai
mund lun aankh to be-kar hai sab rang-e-jahan
kya meri chashm-e-inayat ke siwa bhi kuchh hai
kuchh to hai jis ke batane se hun qasir lekin
ab tere dard mein lazzat ke siwa bhi kuchh hai
meri aankhon se koi us ka sarapa dekhe
tab khulega ki qayamat ke siwa bhi kuchh hai
har ta'alluq kisi qimat ka talab-gar nahin
dil ke saude mein tijarat ke siwa bhi kuchh hai
han wo ek lamha ki haq-goi pe gardan kaT jae
ya'ni ta-'umr 'ibaadat ke siwa bhi kuchh hai
husn sab husn-e-tabiat pe hai mauquf 'nadim'
ya kahin husn-e-tabiat ke siwa bhi kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.