aasman ke ghar mein hum khiDkiyan banate the
āsmāñ ke ghar meñ ham khiḌkiyāñ banāte the
chāñd aur sūraj ke darmiyāñ banāte the
ik qalam se bachpan meñ rangte the dīvāreñ
ik qalam se peḌoñ par pattiyāñ banāte the
kuchh yatīm bachchoñ kī aah ko ikaTThā kar
mere shahr ke mutrib siskiyāñ banāte the
jab shikam na bhartā thā sirf ThanDe paanī se
bhuuk gūñdh kar ham kuchh roTiyāñ banāte the
log us zamāna ke jhiil ik banā kar phir
ḳhāmushī se meñDak aur machhliyāñ banāte the
ḳhud-kushī kī chāhat meñ zindagī se bach kar ham
ābshār kī ḳhātir khā.iyāñ banāte the
log jin ko pahle se hī nasīb thā dozaḳh
ḳhuld jaane vāloñ kī sīḌhiyāñ banāte the
raat qabr se apnī laash khīñchne ko ham
haDDiyoñ ke malbe se rassiyāñ banāte the
aasman ke ghar mein hum khiDkiyan banate the
chand aur suraj ke darmiyan banate the
ek qalam se bachpan mein rangte the diwaren
ek qalam se peDon par pattiyan banate the
kuchh yatim bachchon ki aah ko ikaTTha kar
mere shahr ke mutrib siskiyan banate the
jab shikam na bharta tha sirf ThanDe pani se
bhuk gundh kar hum kuchh roTiyan banate the
log us zamana ke jhil ek bana kar phir
KHamushi se meinDak aur machhliyan banate the
KHud-kushi ki chahat mein zindagi se bach kar hum
aabshaar ki KHatir khaiyan banate the
log jin ko pahle se hi nasib tha dozaKH
KHuld jaane walon ki siDhiyan banate the
raat qabr se apni lash khinchne ko hum
haDDiyon ke malbe se rassiyan banate the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.