aasman ki qadimi kaman-gah se jab sitaron mein chhoDi gai raushni
āsmāñ kī qadīmī kamāñ-gāh se jab sitāroñ meñ chhoḌī ga.ī raushnī
kahkashāoñ se ik qaus khīñchī ga.ī chashm-e-hairāñ se joḌī ga.ī raushnī
shām-e-furqat meñ shahnā.ī bajtī rahī ek buḌhiyā ne DhūñDā bahut chāñd ko
jis ghaḌī shab kī dul.han ne ghūñghaT bharā aañkh se bhī nigoḌī ga.ī raushnī
dasht-e-imkāñ ke gadle ufuq par kahīñ abr-o-bārāñ se ḳhurshīd laḌtā rahā
āḳhirash ek qatre ke manshūr se saat rangoñ meñ toḌī ga.ī raushnī
chāh-e-tārīk kā hādsātī ufuq dast-e-qudrat se zāhir huā sāmne
manzileñ mārtī thī ḳhalā meñ kahīñ rāste hī se moḌī ga.ī raushnī
nuur thā yā mulamma.a chaḌhā thā koī shahr chāroñ taraf jagmagātā rahā
merī andhī añdherī galī meñ magar sab kahāñ thoḌī thoḌī ga.ī raushnī
aasman ki qadimi kaman-gah se jab sitaron mein chhoDi gai raushni
kahkashaon se ek qaus khinchi gai chashm-e-hairan se joDi gai raushni
sham-e-furqat mein shahnai bajti rahi ek buDhiya ne DhunDa bahut chand ko
jis ghaDi shab ki dulhan ne ghunghaT bhara aankh se bhi nigoDi gai raushni
dasht-e-imkan ke gadle ufuq par kahin abr-o-baran se KHurshid laDta raha
aaKHirash ek qatre ke manshur se sat rangon mein toDi gai raushni
chah-e-tarik ka hadsati ufuq dast-e-qudrat se zahir hua samne
manzilen marti thi KHala mein kahin raste hi se moDi gai raushni
nur tha ya mulamma chaDha tha koi shahr chaaron taraf jagmagata raha
meri andhi andheri gali mein magar sab kahan thoDi thoDi gai raushni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.