aasman mein chand taron ke siwa kuchh bhi nahin
aasman mein chand taron ke siwa kuchh bhi nahin
Arvind Sharma Azaan
MORE BYArvind Sharma Azaan
āsmāñ meñ chāñd tāroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
in ujāloñ meñ rakhā kyā hai bhalā kuchh bhī nahīñ
maiñ zamīñ aur āsmāñ ke biich meñ maujūd huuñ
mere andar bas ḳhalā hai aur bachā kuchh bhī nahīñ
zindagī bhī dekhiye bas rā.egāñ guzrī miirī
umr to guzrī magar mujh ko milā kuchh bhī nahīñ
kaun huuñ maiñ kyā huuñ āḳhir kyā haqīqat hai mirī
sochtā huuñ sochne kā fā.eda kuchh bhī nahīñ
maiñ ne har andāz se parkhā hai merī ziist ko
ḳhvāhishoñ ke ek jañgal ke sivā kuchh bhī nahīñ
ghar meñ phailī hai tirī bhīnī sī ḳhushbū har jagah
bikhre panne haiñ magar in par likhā kuchh bhī nahīñ
uTh rahī hai har taraf jalte sharāroñ kī fasīl
zindagī aur maut kā ye mas.ala kuchh bhī nahīñ
aasman mein chand taron ke siwa kuchh bhi nahin
in ujalon mein rakha kya hai bhala kuchh bhi nahin
main zamin aur aasman ke bich mein maujud hun
mere andar bas KHala hai aur bacha kuchh bhi nahin
zindagi bhi dekhiye bas raegan guzri meri
umr to guzri magar mujh ko mila kuchh bhi nahin
kaun hun main kya hun aaKHir kya haqiqat hai meri
sochta hun sochne ka faeda kuchh bhi nahin
main ne har andaz se parkha hai meri zist ko
KHwahishon ke ek jangal ke siwa kuchh bhi nahin
ghar mein phaili hai teri bhini si KHushbu har jagah
bikhre panne hain magar in par likha kuchh bhi nahin
uTh rahi hai har taraf jalte shararon ki fasil
zindagi aur maut ka ye masala kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.