aasman par hain sitare dard ki aaghosh mein
aasman par hain sitare dard ki aaghosh mein
Seema Sharma Meeruthi
MORE BYSeema Sharma Meeruthi
āsmāñ par haiñ sitāre dard kī āġhosh meñ
aur zamīñ par ġham hamāre dard kī āġhosh meñ
saath sūraj ke samundar meñ safīne kī tarah
Dūbte haiñ sab nazāre dard kī āġhosh meñ
raqs karte pyaar ke sho.aloñ pe haavī hai thakan
chīḳh uTThe haiñ sharāre dard kī āġhosh meñ
sar paTaktī karvaTeñ letī machaltī bār-bār
mauj hai dariyā kināre dard kī āġhosh meñ
merī āñkhoñ meñ haiñ aañsū is tarah Thahre hue
Dal meñ hoñ jaise shikāre dard kī āġhosh meñ
ashk kī sūrat haiñ mahfūz aañkh meñ yādeñ tirī
tairte manzar haiñ saare dard kī āġhosh meñ
ai mire pyāre muhāfiz tū ijāzat de to umr
kaaT duuñ tere sahāre dard kī āġhosh meñ
yuuñ utartā hai mire ehsās meñ lahje kā karb
lafz hoñ jaise tumhāre dard kī āġhosh meñ
chhā.ī hai chehre pe 'sīmā' is tarah pazhmurdagī
jaise hoñ saare ke saare dard kī āġhosh meñ
aasman par hain sitare dard ki aaghosh mein
aur zamin par gham hamare dard ki aaghosh mein
sath suraj ke samundar mein safine ki tarah
Dubte hain sab nazare dard ki aaghosh mein
raqs karte pyar ke shoalon pe hawi hai thakan
chiKH uTThe hain sharare dard ki aaghosh mein
sar paTakti karwaTen leti machalti bar-bar
mauj hai dariya kinare dard ki aaghosh mein
meri aankhon mein hain aansu is tarah Thahre hue
Dal mein hon jaise shikare dard ki aaghosh mein
ashk ki surat hain mahfuz aankh mein yaaden teri
tairte manzar hain sare dard ki aaghosh mein
ai mere pyare muhafiz tu ijazat de to umr
kaT dun tere sahaare dard ki aaghosh mein
yun utarta hai mere ehsas mein lahje ka karb
lafz hon jaise tumhaare dard ki aaghosh mein
chhai hai chehre pe 'sima' is tarah pazhmurdagi
jaise hon sare ke sare dard ki aaghosh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.