aasman se hilal nikla hai
āsmāñ se hilāl niklā hai
dil se terā ḳhayāl niklā hai
aa.ina toḌ kar nikālo to
apnā bas vo hī haal niklā hai
mushkiloñ meñ bitā.e saal ka.ī
tab kahīñ ek saal niklā hai
band dil kī dūkān kholī to
gard meñ Duubā maal niklā hai
'aam insān aaj kā ghar se
ḳhud ko ḳhud se sañbhāl niklā hai
aadmī jab kabhī khulā hai kahīñ
koī fan yā kamāl niklā hai
us ne jab jab zabān kholī hai
koī uljhā savāl niklā hai
aasman se hilal nikla hai
dil se tera KHayal nikla hai
aaina toD kar nikalo to
apna bas wo hi haal nikla hai
mushkilon mein bitae sal kai
tab kahin ek sal nikla hai
band dil ki dukan kholi to
gard mein Duba mal nikla hai
'am insan aaj ka ghar se
KHud ko KHud se sanbhaal nikla hai
aadmi jab kabhi khula hai kahin
koi fan ya kamal nikla hai
us ne jab jab zaban kholi hai
koi uljha sawal nikla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.