aasman se zamin ka rishta
āsmāñ se zamīn kā rishta
kis qadar hai yaqīn kā rishta
sirf mahdūd hai zarūrat tak
aadmī kā machine se rishta
tū bhī utnā hī merā hai jitnā
saañp se āstīn kā rishta
kar diyā hai tire ḳharāb se tai
maiñ ne ik behtarīn kā rishta
ye na zulm o sitam se TuuTe kabhī
dil se hotā hai diin kā rishta
mujh ko mashkūk kartā rahtā hai
mere dil ke makīn kā rishta
bevaqūfoñ kī bhiiḌ se behtar
'sād' hai ik zahīn kā rishta
aasman se zamin ka rishta
kis qadar hai yaqin ka rishta
sirf mahdud hai zarurat tak
aadmi ka machine se rishta
tu bhi utna hi mera hai jitna
sanp se aastin ka rishta
kar diya hai tere KHarab se tai
main ne ek behtarin ka rishta
ye na zulm o sitam se TuTe kabhi
dil se hota hai din ka rishta
mujh ko mashkuk karta rahta hai
mere dil ke makin ka rishta
bewaqufon ki bhiD se behtar
'sad' hai ek zahin ka rishta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.