aasman surKH hua nala-e-shab-gir ke baad
āsmāñ surḳh huā nāla-e-shab-gīr ke ba.ad
hāl-e-dil us pe khulā hai baḌī tāḳhīr ke ba.ad
talab-e-ḳhvāb meñ kitnī thiiñ pareshāñ āñkheñ
kitnī hairān haiñ ab ḳhvāb kī ta.abīr ke ba.ad
khul to sakte the mirī aañkh pe manzar ka.ī aur
maiñ ne dekhā hī nahīñ kuchh tirī tasvīr ke ba.ad
zindagī kaTtī rahī aur mire pairoñ meñ
ek zanjīr paḌī dūsrī zanjīr ke ba.ad
ma.arka ab ke mohabbat meñ ajab guzrā hai
haath ḳhālī hī rahe lamha-e-tasḳhīr ke ba.ad
kūcha-e-harf meñ ye jaan ke aa.e 'ḳhāvar'
'mīr' sā 'mīr' se pahle na huā 'mīr' ke ba.ad
aasman surKH hua nala-e-shab-gir ke baad
haal-e-dil us pe khula hai baDi taKHir ke baad
talab-e-KHwab mein kitni thin pareshan aankhen
kitni hairan hain ab KHwab ki tabir ke baad
khul to sakte the meri aankh pe manzar kai aur
main ne dekha hi nahin kuchh teri taswir ke baad
zindagi kaTti rahi aur mere pairon mein
ek zanjir paDi dusri zanjir ke baad
marka ab ke mohabbat mein ajab guzra hai
hath KHali hi rahe lamha-e-tasKHir ke baad
kucha-e-harf mein ye jaan ke aae 'KHawar'
'mir' sa 'mir' se pahle na hua 'mir' ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.