aasman-zad aur zamin afsos
āsmāñ-zād aur zamīn afsos
kyā makāñ aur kyā makīn afsos
merī hālat pe jo huā us ko
vo hai duniyā kā behtarīn afsos
kuchh hue us ke vāste pāgal
aur kuchh rah ga.e zahīn afsos
koī hairān hī nahīñ hotā
itne bekār shā.eqīn afsos
chhoḌnī paḌ ga.ī mohabbat meñ
apne ajdād kī zamīn afsos
tum banāte ho ġhair kī tasvīr
aur phir itnī behtarīn afsos
aasman-zad aur zamin afsos
kya makan aur kya makin afsos
meri haalat pe jo hua us ko
wo hai duniya ka behtarin afsos
kuchh hue us ke waste pagal
aur kuchh rah gae zahin afsos
koi hairan hi nahin hota
itne bekar shaeqin afsos
chhoDni paD gai mohabbat mein
apne ajdad ki zamin afsos
tum banate ho ghair ki taswir
aur phir itni behtarin afsos
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.