aasman-zad zaminon pe kahin nachte hain
aasman-zad zaminon pe kahin nachte hain
Ahmad Sagheer Siddiqui
MORE BYAhmad Sagheer Siddiqui
āsmāñ-zād zamīnoñ pe kahīñ nāchte haiñ
ham vo paikar haiñ sar-e-arsh-e-barīñ nāchte haiñ
apnā ye jism thiraktā hai bas apnī dhun par
ham kabhī aur kisī dhun pe nahīñ nāchte haiñ
apne rañgoñ ko tamāshe kā koī shauq nahīñ
mor jañgal meñ hī rahte haiñ vahīñ nāchte haiñ
tan ke Dere meñ hai jaañ mast qalandar kī tarah
vāhime thak ke jo rukte haiñ yaqīñ nāchte haiñ
kab se ik ḳhvāb hai āñkhoñ meñ ki ta.abīr bhī hai
us meñ gaate haiñ makāñ aur makīñ nāchte haiñ
aasman-zad zaminon pe kahin nachte hain
hum wo paikar hain sar-e-arsh-e-barin nachte hain
apna ye jism thirakta hai bas apni dhun par
hum kabhi aur kisi dhun pe nahin nachte hain
apne rangon ko tamashe ka koi shauq nahin
mor jangal mein hi rahte hain wahin nachte hain
tan ke Dere mein hai jaan mast qalandar ki tarah
wahime thak ke jo rukte hain yaqin nachte hain
kab se ek KHwab hai aankhon mein ki tabir bhi hai
us mein gate hain makan aur makin nachte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.