aasmanon aur zamin ko sath rakh
āsmānoñ aur zamīñ ko saath rakh
ho sake to is yaqīñ ko saath rakh
kaam ā.ūñgā maiñ mushkil meñ tire
mere jaise ham-nashīñ ko saath rakh
jo ḳhirad kī baat tak karte nahīñ
tū hī aise jāhiloñ ko saath rakh
dost jis meñ saañp kī sūrat meñ hoñ
tū na aisī āstīñ ko saath rakh
tū hai darvesh-e-anā-parvar so tū
kāsa-o-nān-e-javīñ ko saath rakh
'asġhar'-e-be-ḳhānumāñ kā thaam haath
'umr-bhar is nukta-chīñ ko saath rakh
aasmanon aur zamin ko sath rakh
ho sake to is yaqin ko sath rakh
kaam aaunga main mushkil mein tere
mere jaise ham-nashin ko sath rakh
jo KHirad ki baat tak karte nahin
tu hi aise jahilon ko sath rakh
dost jis mein sanp ki surat mein hon
tu na aisi aastin ko sath rakh
tu hai darwesh-e-ana-parwar so tu
kasa-o-nan-e-jawin ko sath rakh
'asghar'-e-be-KHanuman ka tham hath
'umr-bhar is nukta-chin ko sath rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.