aasmanon ki bulandi se utar aaya hun
āsmānoñ kī bulandī se utar aayā huuñ
ai zamīñ mujh ko sahārā de maiñ ghar aayā huuñ
muddatoñ ba.ad pukārā mirī vahshat ne mujhe
muddatoñ ba.ad maiñ sahrā meñ nazar aayā huuñ
dekh rāhoñ meñ mirī ḳhaar bichhāne vaale
maiñ udhar chhoḌ ke gulzār idhar aayā huuñ
sañg hāthoñ meñ liye baiThe haiñ ahbāb yahāñ
aur maiñ shānoñ pe sajā.e hue sar aayā huuñ
chashm-e-hairat se jise dekhā karegī duniyā
rañg aise tirī tasvīr meñ bhar aayā huuñ
ḳhud ko chāhūñ bhī to ab dekh nahīñ pā.ūñgā
apnī āñkheñ tirī dahlīz pe dhar aayā huuñ
is qadar gahrā dhuñdalkā thā hunar rastoñ meñ
baḌī mushkil se zamāne ko nazar aayā huuñ
chaman-e-shā.irī chhā.ī thiiñ ḳhizā.eñ jis par
le ke 'shībān' vahāñ maiñ gul-e-tar aayā huuñ
aasmanon ki bulandi se utar aaya hun
ai zamin mujh ko sahaara de main ghar aaya hun
muddaton baad pukara meri wahshat ne mujhe
muddaton baad main sahra mein nazar aaya hun
dekh rahon mein meri KHar bichhane wale
main udhar chhoD ke gulzar idhar aaya hun
sang hathon mein liye baiThe hain ahbab yahan
aur main shanon pe sajae hue sar aaya hun
chashm-e-hairat se jise dekha karegi duniya
rang aise teri taswir mein bhar aaya hun
KHud ko chahun bhi to ab dekh nahin paunga
apni aankhen teri dahliz pe dhar aaya hun
is qadar gahra dhundalka tha hunar raston mein
baDi mushkil se zamane ko nazar aaya hun
chaman-e-shairi chhai thin KHizaen jis par
le ke 'shiban' wahan main gul-e-tar aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.