aasmanon pe ajab aalam-e-paspai tha
āsmānoñ pe 'ajab 'ālam-e-paspā.ī thā
is tamāshe kā magar maiñ hī tamāshā.ī thā
ab bhī azbar hai mujhe tarbiyat-e-maktab-e-dil
dars-e-vahshat ke liye jāma-e-rusvā.ī thā
vasl kā raag bhī kho baiThā nizām-e-āhang
naġhma-e-hijr mirā kis kā tamannā.ī thā
apnī āvāz ke jangal meñ basar kartā huuñ
mere atrāf kabhī ḳhitta-e-tanhā.ī thā
ek vo dar jise lāhaq thā taġhāful kā maraz
ek maiñ thā mujhe āshob-e-jabīñ-sā.ī thā
nusḳha-e-shauq kahīñ ḳhāk-ba-sar thā 'sāqib'
aur darpesh mujhe kār-e-masīhā.ī thā
aasmanon pe 'ajab 'alam-e-paspai tha
is tamashe ka magar main hi tamashai tha
ab bhi azbar hai mujhe tarbiyat-e-maktab-e-dil
dars-e-wahshat ke liye jama-e-ruswai tha
wasl ka rag bhi kho baiTha nizam-e-ahang
naghma-e-hijr mera kis ka tamannai tha
apni aawaz ke jangal mein basar karta hun
mere atraf kabhi KHitta-e-tanhai tha
ek wo dar jise lahaq tha taghaful ka maraz
ek main tha mujhe aashob-e-jabin-sai tha
nusKHa-e-shauq kahin KHak-ba-sar tha 'saqib'
aur darpesh mujhe kar-e-masihai tha
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 91)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.