aasmanon se ja mila hun main
āsmānoñ se jā milā huuñ maiñ
aao dafnā do mar chukā huuñ maiñ
ġhaur se dekhiye mirī vahshat
saa.e saa.e se Dar rahā huuñ maiñ
zindagī ab mujhe ijāzat de
dekh jiine ko mar rahā huuñ maiñ
hañstā rahtā huuñ ik umiid pe maiñ
aise hañsne pe ro rahā huuñ maiñ
kaise jītegā ye jahāñ mujh se
Dar se aage kā marhala huuñ maiñ
dauḌ le jitnā dauḌ saktī hai
zindagī āḳhirī vabā huuñ maiñ
saarī samtoñ kī dekh kar hālat
ik na.ī samt chal paḌā huuñ maiñ
thak gayā sunte sunte maut kā shor
is liye khul ke jī rahā huuñ maiñ
is qadar Dar hai tum ko khone kā
tum ko paane se Dar rahā huuñ maiñ
aasmanon se ja mila hun main
aao dafna do mar chuka hun main
ghaur se dekhiye meri wahshat
sae sae se Dar raha hun main
zindagi ab mujhe ijazat de
dekh jine ko mar raha hun main
hansta rahta hun ek umid pe main
aise hansne pe ro raha hun main
kaise jitega ye jahan mujh se
Dar se aage ka marhala hun main
dauD le jitna dauD sakti hai
zindagi aaKHiri waba hun main
sari samton ki dekh kar haalat
ek nai samt chal paDa hun main
thak gaya sunte sunte maut ka shor
is liye khul ke ji raha hun main
is qadar Dar hai tum ko khone ka
tum ko pane se Dar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.