aasmanon se utar kar meri dharti pe biraj
āsmānoñ se utar kar mirī dhartī pe birāj
meñ tujhe dūñgā panapte hue gītoñ kā ḳhirāj
dil ke sahrā pe baras chait ke bādal kī tarah
ḳhushk Tiile ko bhī de phūltī sarsoñ kā mizāj
nabz-e-hālāt meñ ab reñg ke chaltā hai lahū
kaash rakh le tū utarte hue dariyā kī laaj
chāñd ban kar zarā insān ke māthe pe ubhar
tere jalvoñ ko tarastā hai ye tārīk samāj
bujhte jaate haiñ sitāroñ ke fanā-rañg kañval
aa sar-e-vaqt pe rakh jhuum ke ḳhurshīd kā taaj
aasmanon se utar kar meri dharti pe biraj
mein tujhe dunga panapte hue giton ka KHiraj
dil ke sahra pe baras chait ke baadal ki tarah
KHushk Tile ko bhi de phulti sarson ka mizaj
nabz-e-haalat mein ab reng ke chalta hai lahu
kash rakh le tu utarte hue dariya ki laj
chand ban kar zara insan ke mathe pe ubhar
tere jalwon ko tarasta hai ye tarik samaj
bujhte jate hain sitaron ke fana-rang kanwal
aa sar-e-waqt pe rakh jhum ke KHurshid ka taj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.