aasmanon se zaminon ko milane wale
āsmānoñ se zamīnoñ ko milāne vaale
jhūTe hote haiñ ye taqdīr batāne vaale
ab to mar jaatā hai rishta hī bure vaqtoñ par
pahle mar jaate the rishtoñ ko nibhāne vaale
jo tire 'aib batātā hai use mat khonā
ab kahāñ milte haiñ ā.īna dikhāne vaale
ban gayā zahr mirī lau kā dhuāñ raat ga.e
sub.h uTThe hī nahīñ mujh ko bujhāne vaale
tujh meñ himmat hai to sūraj ke muqābil bhī aa
mere mā'sūm charāġhoñ ko Darāne vaale
ab gayā hai to palaT kar mujhe āvāz na de
lauT ke mat aa mujhe chhoḌ ke jaane vaale
parde darvāzoñ pe āñgan meñ hasīñ chehre the
gaañv meñ ghar huā karte the ḳhazāne vaale
aasmanon se zaminon ko milane wale
jhuTe hote hain ye taqdir batane wale
ab to mar jata hai rishta hi bure waqton par
pahle mar jate the rishton ko nibhane wale
jo tere 'aib batata hai use mat khona
ab kahan milte hain aaina dikhane wale
ban gaya zahr meri lau ka dhuan raat gae
subh uTThe hi nahin mujh ko bujhane wale
tujh mein himmat hai to suraj ke muqabil bhi aa
mere ma'sum charaghon ko Darane wale
ab gaya hai to palaT kar mujhe aawaz na de
lauT ke mat aa mujhe chhoD ke jaane wale
parde darwazon pe aangan mein hasin chehre the
ganw mein ghar hua karte the KHazane wale
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 65)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.