aastan-e-haram pe la Dala
āstān-e-haram pe lā Daalā
kaam kar hī ga.ī butoñ se yaas
ham ne paayā hai pariyoñ ko hairān
ham ne dekhā hai gulshanoñ ko udaas
apne māhaul par asar-andāz
kyoñ na mard-e-niko kī ho bū-bās
daur-e-nau rāhbar na.e DhūñDhe
ḳhizr hai kaam kā na aaj ilyās
chār-dīvārī ek ne.amat-e-jāñ
apnā ghar apne vāste ruhtās
taaza paanī ġharīb ko hai sharāb
jām-e-jam se nahīñ kam us ko taas
is imārat ne umr paa.ī tavīl
raast buniyād thī jo sidq-ehsās
khā ga.ī mujh ko terī bhūkī nigāh
zāl-e-duniyā tirā ho satyanās
aastan-e-haram pe la Dala
kaam kar hi gai buton se yas
hum ne paya hai pariyon ko hairan
hum ne dekha hai gulshanon ko udas
apne mahaul par asar-andaz
kyon na mard-e-niko ki ho bu-bas
daur-e-nau rahbar nae DhunDhe
KHizr hai kaam ka na aaj ilyas
chaar-diwari ek neamat-e-jaan
apna ghar apne waste ruhtas
taza pani gharib ko hai sharab
jam-e-jam se nahin kam us ko tas
is imarat ne umr pai tawil
rast buniyaad thi jo sidq-ehsas
kha gai mujh ko teri bhuki nigah
zal-e-duniya tera ho satyanas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.