aastinon mein sanp pale the
āstīnoñ meñ saañp paale the
shauq mere bhī to nirāle the
ghar ko tārīkiyoñ ne gherā thā
ghar se bāhar bahut ujāle the
merī jholī meñ jitne kankar the
mere apnoñ ne hī uchhāle the
jo mile josh se mujhe aksar
log dil se vahī to kaale the
maiñ na samjhī thī chaal dushman kī
jab ki achchhe se dekhe-bhāle the
aastinon mein sanp pale the
shauq mere bhi to nirale the
ghar ko tarikiyon ne ghera tha
ghar se bahar bahut ujale the
meri jholi mein jitne kankar the
mere apnon ne hi uchhaale the
jo mile josh se mujhe aksar
log dil se wahi to kale the
main na samjhi thi chaal dushman ki
jab ki achchhe se dekhe-bhaale the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.