aasudgi ka daur hai faqa-kashi bhi hai
āsūdgī kā daur hai fāqa-kashī bhī hai
sab kuchh hai apne paas magar kuchh kamī bhī hai
barham hue kabhī to kabhī muskurā diye
bas meñ tumhāre maut bhī hai zindagī bhī hai
tūfān-e-ġham meñ tum ne gale se lagā liyā
haañ mujh ko aisī pursish-e-ġham kī ḳhushī bhī hai
ruk-ruk ke merī samt baḌhātī hai har qadam
shāyad ki zindagī mujhe pahchāntī bhī hai
is daur-e-be-hayā.ī meñ kuchh boltā nahīñ
us shaḳhs meñ janāb sharāfat abhī bhī hai
miltā hai aisā vaqt bhī 'manzar' nasīb se
maiñ huuñ shab-e-visāl hai ik ajnabī bhī hai
aasudgi ka daur hai faqa-kashi bhi hai
sab kuchh hai apne pas magar kuchh kami bhi hai
barham hue kabhi to kabhi muskura diye
bas mein tumhaare maut bhi hai zindagi bhi hai
tufan-e-gham mein tum ne gale se laga liya
han mujh ko aisi pursish-e-gham ki KHushi bhi hai
ruk-ruk ke meri samt baDhati hai har qadam
shayad ki zindagi mujhe pahchanti bhi hai
is daur-e-be-hayai mein kuchh bolta nahin
us shaKHs mein janab sharafat abhi bhi hai
milta hai aisa waqt bhi 'manzar' nasib se
main hun shab-e-visal hai ek ajnabi bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.