aata chala gaya hai wo KHush-fikr dhyan mein
aatā chalā gayā hai vo ḳhush-fikr dhyān meñ
baḌhtī chalī ga.ī hai nafāsat bayān meñ
yuuñ kho gayā huuñ masnavī sahar-ul-bayān meñ
shāmil huuñ jaise maiñ bhī usī dāstān meñ
ik pair chhū gayā hai kisī mah-jamāl kā
ab jashn kā samāñ sā hai kapḌe ke thaan meñ
tujh tak to maiñ pahuñch hī gayā huuñ magar ye kyā
dil sarf ho chukā hai kahīñ darmiyān meñ
ham bhī lavāhiqīn haiñ marhūm ishq ke
likhiye hamārā naam bhī āzurdagān meñ
us naqsh kā numūd se kyā vāsta bhalā
aayā nahīñ jo us nigah-e-mehrbān meñ
āñkhoñ meñ tairte hue Doroñ kī ḳhair ho
mausam ne kuchh kahā to nahīñ tere kaan meñ
aata chala gaya hai wo KHush-fikr dhyan mein
baDhti chali gai hai nafasat bayan mein
yun kho gaya hun masnawi sahar-ul-bayan mein
shamil hun jaise main bhi usi dastan mein
ek pair chhu gaya hai kisi mah-jamal ka
ab jashn ka saman sa hai kapDe ke than mein
tujh tak to main pahunch hi gaya hun magar ye kya
dil sarf ho chuka hai kahin darmiyan mein
hum bhi lawahiqin hain marhum ishq ke
likhiye hamara nam bhi aazurdagan mein
us naqsh ka numud se kya wasta bhala
aaya nahin jo us nigah-e-mehrban mein
aankhon mein tairte hue Doron ki KHair ho
mausam ne kuchh kaha to nahin tere kan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.