aata hai yaad mujhko dukhta hai dil mera jab
aatā hai yaad mujh ko dukhtā hai dil mirā jab
ik dard de gayā vo mujh se huā judā jab
kaise ho guftugū phir ai ruuTh jaane vaalo
aatī nahīñ hai āvāz detā huuñ maiñ sadā jab
ojhal huī nazar se ab gard-e-kārvāñ bhī
miltā nahīñ hai DhūñDe tahrīr-e-naqsh-e-pā jab
ā.eñge ab nahīñ vo hai intizār bekār
āñkhoñ ko mūñdte haiñ ho jaa.e gul diyā jab
hai hifz-e-mā-taqaddum kyā 'ishq kā batāte
mujh ko huā thā lāhaq ye marz-e-lā-davā jab
ḳhush huuñ nahīñ uThāyā ehsāñ davā kā maiñ ne
zaḳhmoñ ko maiñ ne paayā nā-qābil-e-shifā jab
dushvār ho gayā hai jiinā yahāñ 'azīzo
kaise jiye koī par jiine se ho ḳhafā jab
pahle nigāh-e-jādū phir ek tīr-e-ġhamza
halkā sā muskurā.e lahrā ke maiñ girā jab
aata hai yaad mujh ko dukhta hai dil mera jab
ek dard de gaya wo mujh se hua juda jab
kaise ho guftugu phir ai ruTh jaane walo
aati nahin hai aawaz deta hun main sada jab
ojhal hui nazar se ab gard-e-karwan bhi
milta nahin hai DhunDe tahrir-e-naqsh-e-pa jab
aaenge ab nahin wo hai intizar bekar
aankhon ko mundte hain ho jae gul diya jab
hai hifz-e-ma-taqaddum kya 'ishq ka batate
mujh ko hua tha lahaq ye marz-e-la-dawa jab
KHush hun nahin uThaya ehsan dawa ka main ne
zaKHmon ko main ne paya na-qabil-e-shifa jab
dushwar ho gaya hai jina yahan 'azizo
kaise jiye koi par jine se ho KHafa jab
pahle nigah-e-jadu phir ek tir-e-ghamza
halka sa muskurae lahra ke main gira jab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.