aata hai yun shabab kisi gul-e-ezar ka
aatā hai yuuñ shabāb kisī gul-e-ezār kā
khiltā hai jaise phuul chaman meñ bahār kā
hāsil na āshiqoñ ko huā vasl yaar kā
dekhā na bulbuloñ ne tamāshā bahār kā
sarshār aisī nik.hat-e-gul se huī hai aaj
miltā nahīñ mizāj nasīm-e-bahār kā
is tarah ḳhatm hotī haiñ ghaḌiyāñ surūr kī
jaise chaman se guzre zamāna bahār kā
girte haiñ zard patte ki shāḳheñ hoñ sabz phir
paiġhām de rahī hai ḳhizāñ bhī bahār kā
chalte hī chalte us ne girah sab kī khol dī
ehsāñ hai har kalī pe nasīm-e-bahār kā
baiThe haiñ bāda-nosh chale daur sāqiyā
sahn-e-chaman meñ ḳhema hai abr-e-bahār kā
aata hai yun shabab kisi gul-e-ezar ka
khilta hai jaise phul chaman mein bahaar ka
hasil na aashiqon ko hua wasl yar ka
dekha na bulbulon ne tamasha bahaar ka
sarshaar aisi nikhat-e-gul se hui hai aaj
milta nahin mizaj nasim-e-bahaar ka
is tarah KHatm hoti hain ghaDiyan surur ki
jaise chaman se guzre zamana bahaar ka
girte hain zard patte ki shaKHen hon sabz phir
paigham de rahi hai KHizan bhi bahaar ka
chalte hi chalte us ne girah sab ki khol di
ehsan hai har kali pe nasim-e-bahaar ka
baiThe hain baada-nosh chale daur saqiya
sahn-e-chaman mein KHema hai abr-e-bahaar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.