aate hi jawani ke li husn ne angDai
aate hī javānī ke lī husn ne añgḌā.ī
is samt girī bijlī us samt qazā aa.ī
jis samt se guzrā huuñ āvāz yahī aa.ī
dīvāna hai dīvāna saudā.ī hai saudā.ī
bhūle hī se aa jaao mahkī huī rāteñ haiñ
barsāt kā mausam hai Dastī huī tanhā.ī
sachchā.ī ke dīvāne chaḌhte haiñ salīboñ par
sadiyoñ se zamāne meñ ye rasm chalī aa.ī
ālām-o-masā.ib kā chaḌhtā huā dariyā hai
ai josh-e-tavānā.ī ai josh-e-tavānā.ī
ab kaun sune bāteñ bahke hue vaa.iz kī
chalte haiñ 'shafaq' ham to vo kaalī ghaTā aa.ī
aate hi jawani ke li husn ne angDai
is samt giri bijli us samt qaza aai
jis samt se guzra hun aawaz yahi aai
diwana hai diwana saudai hai saudai
bhule hi se aa jao mahki hui raaten hain
barsat ka mausam hai Dasti hui tanhai
sachchai ke diwane chaDhte hain salibon par
sadiyon se zamane mein ye rasm chali aai
aalam-o-masaib ka chaDhta hua dariya hai
ai josh-e-tawanai ai josh-e-tawanai
ab kaun sune baaten bahke hue waiz ki
chalte hain 'shafaq' hum to wo kali ghaTa aai
- Book : Mauj-e-shafaq (Pg. 87)
- Author : Dr. Gopal Krishn Shafaq
- Publication : Dr. Gopal Krishn Shafaq (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.