aate hi yahan choT nai khai hai aksar
aate hī yahāñ choT na.ī khaa.ī hai aksar
mahfil meñ tirī maiñ ne sazā paa.ī hai aksar
uljhā huuñ to ai dost ulajhtā hī gayā huuñ
gutthī ġham-e-daurāñ kī bhī suljhā.ī hai aksar
jazbāt kā tūfān mire dil meñ uThā hai
vo saañs jo dhaḌkan ke qarīñ aa.ī hai aksar
aaya na yaqīñ us ko kisī baat pe merī
samjhāne kī jo baat thī samjhā.ī hai aksar
kāñTā hameñ samjhā kiye go ahl-e-gulistāñ
ham ne bhī bahāroñ meñ jagah paa.ī hai aksar
dekhā hai jab is chāñd ko zulfoñ kī ghaTā meñ
siine meñ mire barq sī lahrā.ī hai aksar
nādāñ haiñ mohabbat meñ jo dīvāne ko samjhā.eñ
jo baat mire dil ne bhī samjhā.ī hai aksar
tākīd tumhārī hai koī tum ko na chheḌe
ham ne bhī 'kamal' baat ye dohrā.ī hai aksar
aate hi yahan choT nai khai hai aksar
mahfil mein teri main ne saza pai hai aksar
uljha hun to ai dost ulajhta hi gaya hun
gutthi gham-e-dauran ki bhi suljhai hai aksar
jazbaat ka tufan mere dil mein uTha hai
wo sans jo dhaDkan ke qarin aai hai aksar
aaya na yaqin us ko kisi baat pe meri
samjhane ki jo baat thi samjhai hai aksar
kanTa hamein samjha kiye go ahl-e-gulistan
hum ne bhi bahaaron mein jagah pai hai aksar
dekha hai jab is chand ko zulfon ki ghaTa mein
sine mein mere barq si lahrai hai aksar
nadan hain mohabbat mein jo diwane ko samjhaen
jo baat mere dil ne bhi samjhai hai aksar
takid tumhaari hai koi tum ko na chheDe
hum ne bhi 'kamal' baat ye dohrai hai aksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.