aate nahin ho KHwab mein tarsate ho mujhe
aate nahīñ ho ḳhvāb meñ tarsāte ho mujhe
ummīd kī salīb pe laTkāte ho mujhe
furqat ke roz ek qayāmat guzar ga.ī
ab hashr ke visāl se bahlāte ho mujhe
tum bhūlte nahīñ ho sa'ī bhī karūñ agar
hai din nahīñ koī ki na yaad aate ho mujhe
zaḳhmī kiyā hai 'ishq ne hī bārhā mujhe
phir bhī junūn-e-'ishq pe uksāte ho mujhe
kartā huuñ guftugū maiñ ḳhayāloñ meñ roz hī
apne hī bas ḳhayāl meñ uljhāte ho mujhe
Dartā huuñ dil kī baat huvaidā na ho kahīñ
jab kuchh kahe baġhair hī pā jaate ho mujhe
chāra hai mere dard kā mā'dūmī hī faqat
phir kyoñ fanā kī raah se bhaTkāte ho mujhe
aate nahin ho KHwab mein tarsate ho mujhe
ummid ki salib pe laTkate ho mujhe
furqat ke roz ek qayamat guzar gai
ab hashr ke visal se bahlate ho mujhe
tum bhulte nahin ho sa'i bhi karun agar
hai din nahin koi ki na yaad aate ho mujhe
zaKHmi kiya hai 'ishq ne hi barha mujhe
phir bhi junun-e-'ishq pe uksate ho mujhe
karta hun guftugu main KHayalon mein roz hi
apne hi bas KHayal mein uljhate ho mujhe
Darta hun dil ki baat huwaida na ho kahin
jab kuchh kahe baghair hi pa jate ho mujhe
chaara hai mere dard ka ma'dumi hi faqat
phir kyon fana ki rah se bhaTkate ho mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.