aati ho jati ho lekin dikhti nahin
aatī ho jaatī ho lekin dikhtī nahīñ
mujh se itnī āñkh-micholī achchhī nahīñ
tere pyaar meñ mujh ko confusion ye hai
kitnī mohlat de duuñ tujh ko kitnī nahīñ
aap mohabbat pe mujh ko lecture na deñ
aap kī pahlī hogī merī pahlī nahīñ
ḳhat ke saath meñ us kī photo bhī aa.ī
ham ne bhī phir chāñd ko dekhā chiTThī nahīñ
chaar khilaune guDDe guDDī lā do phir bhī
baabā ke bin raanī guḌiyā hañstī nahīñ
aati ho jati ho lekin dikhti nahin
mujh se itni aankh-micholi achchhi nahin
tere pyar mein mujh ko confusion ye hai
kitni mohlat de dun tujh ko kitni nahin
aap mohabbat pe mujh ko lecture na den
aap ki pahli hogi meri pahli nahin
KHat ke sath mein us ki photo bhi aai
hum ne bhi phir chand ko dekha chiTThi nahin
chaar khilaune guDDe guDDi la do phir bhi
baba ke bin rani guDiya hansti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.