aatish-e-ishq hui sard nafasat aai
ātish-e-'ishq huī sard nafāsat aa.ī
baa'd muddat ke mire qalb ko rāhat aa.ī
aaj phir us ne mujhe zor se DāñTā lekin
aaj phir yaad mujhe us kī zarūrat aa.ī
us kī qurbat se nikalne kā ḳhayāl aayā jab
us kī phir yaad mujhe tarz-e-nadāmat aa.ī
bhūlne kī jo tujhe maiñ ne kabhī koshish kī
yād-e-māzī kī mujhe pesh mohabbat aa.ī
tujh ko dekhā jo kisī ġhair se milte-julte
yuuñ lagā jaise mire dil pe qayāmat aa.ī
sahn-e-gulshan pe paḌīñ jab se nigāheñ merī
gul-badan yaad mujhe aap kī rangat aa.ī
hasrat-e-dīd hai tūfān machā.e dil meñ
kaañp uTThā hai badan ruuh meñ shiddat aa.ī
aatish-e-'ishq hui sard nafasat aai
ba'd muddat ke mere qalb ko rahat aai
aaj phir us ne mujhe zor se DanTa lekin
aaj phir yaad mujhe us ki zarurat aai
us ki qurbat se nikalne ka KHayal aaya jab
us ki phir yaad mujhe tarz-e-nadamat aai
bhulne ki jo tujhe main ne kabhi koshish ki
yaad-e-mazi ki mujhe pesh mohabbat aai
tujh ko dekha jo kisi ghair se milte-julte
yun laga jaise mere dil pe qayamat aai
sahn-e-gulshan pe paDin jab se nigahen meri
gul-badan yaad mujhe aap ki rangat aai
hasrat-e-did hai tufan machae dil mein
kanp uTTha hai badan ruh mein shiddat aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.