aatish-e-KHamosh mein jalta raha main umr bhar
aatish-e-KHamosh mein jalta raha main umr bhar
Dr. Habib ur Rehman
MORE BYDr. Habib ur Rehman
ātish-e-ḳhāmosh meñ jaltā rahā maiñ 'umr bhar
yaar merā hāl-e-dil se ab talak hai be-ḳhabar
jo ġharīboñ ke lahū se kal banāyā zālimo
hashr ko hogā tumhāre dosh par vo sīm-o-zar
tū ne bhejā zindagī de kar jahāñ meñ ai ḳhudā
ziist ko par DhūñDhtā phirtā rahā maiñ dar-ba-dar
jāntā huuñ vo nahīñ dete mire ḳhat kā javāb
dil uchhaltā hai magar jo dekhtā huuñ nāma-bar
aaj pahlī baar dekhā man-haran vo to kahā
chāhtā huuñ ḳhat likhūñ paatā nahīñ par āb-e-zar
ḳhush huā hogā ḳhabar sun kar mire marne kī vo
yā huā hogā vo āñchal āñsuoñ se tar-ba-tar
aatish-e-KHamosh mein jalta raha main 'umr bhar
yar mera haal-e-dil se ab talak hai be-KHabar
jo gharibon ke lahu se kal banaya zalimo
hashr ko hoga tumhaare dosh par wo sim-o-zar
tu ne bheja zindagi de kar jahan mein ai KHuda
zist ko par DhunDhta phirta raha main dar-ba-dar
jaanta hun wo nahin dete mere KHat ka jawab
dil uchhalta hai magar jo dekhta hun nama-bar
aaj pahli bar dekha man-haran wo to kaha
chahta hun KHat likhun pata nahin par aab-e-zar
KHush hua hoga KHabar sun kar mere marne ki wo
ya hua hoga wo aanchal aansuon se tar-ba-tar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.