aatish-e-mai se charagh-e-husn raushan ho gaya
aatish-e-mai se charagh-e-husn raushan ho gaya
Karamat Ali Shaheedi
MORE BYKaramat Ali Shaheedi
ātish-e-mai se charāġh-e-husn raushan ho gayā
aab is tasvīr se chehre ko roġhan ho gayā
yaar ke nazzāra-e-ruḳhsār kā haa.el hai ḳhat
tīra-baḳhtī se hamārī ḳhizr rahzan ho gayā
dūd-e-gardūñ sho.ala ḳhur ātish shafaq aḳhgar nujūm
ālam-e-bālā mirī aahoñ se gulḳhan ho gayā
aah vo dil jis ko labbaik-e-haram se aar thā
ishq meñ ik but ke nāqūs-e-barahman ho gayā
har shajar naḳhl-e-shahīdāñ rauza-ḳhvāñ har andalīb
ek gul ban mujh ko mātam-ḳhāna gulshan ho gayā
bazm-e-qātil meñ milā thā sar kaTāne kā mazā
jumla-tan maiñ sham.a ke mānind gardan ho gayā
kyoñ safar se aa ke tū rū-posh hai rashk-e-bahār
aib kyā gar arġhavāñ kā phuul sausan ho gayā
ik tire dil ko nahīñ tāsīr mutlaq ai parī
varna jab ātish meñ rakkhā mom aahan ho gayā
is qadar dūd-e-jigar se mere vaañ kājal jamā
band mātam-ḳhāne kā har ek rauzan ho gayā
nāznīn-e-rūh ko kyūñkar na aar aa.e bhalā
kis qadar musta.amal apnā jāma-e-tan ho gayā
khaa.ī jab Thokar tire vahshī ko dam yaad aa gayā
us ko har ik sang-e-rah sañg-e-falāḳhan ho gayā
sīna-e-ahbāb par paḌtā hai apnā har qadam
sair ke qābil nahīñ ye baaġh madfan ho gayā
kal jo 'nāsiḳh' ne 'shahīdī' ko pinhāyā pairahan
nā-tavānī se garebāñ tauq-e-gardan ho gayā
aatish-e-mai se charagh-e-husn raushan ho gaya
aab is taswir se chehre ko roghan ho gaya
yar ke nazzara-e-ruKHsar ka hael hai KHat
tira-baKHti se hamari KHizr rahzan ho gaya
dud-e-gardun shoala KHur aatish shafaq aKHgar nujum
aalam-e-baala meri aahon se gulKHan ho gaya
aah wo dil jis ko labbaik-e-haram se aar tha
ishq mein ek but ke naqus-e-barahman ho gaya
har shajar naKHl-e-shahidan rauza-KHwan har andalib
ek gul ban mujh ko matam-KHana gulshan ho gaya
bazm-e-qatil mein mila tha sar kaTane ka maza
jumla-tan main shama ke manind gardan ho gaya
kyon safar se aa ke tu ru-posh hai rashk-e-bahaar
aib kya gar arghawan ka phul sausan ho gaya
ek tere dil ko nahin tasir mutlaq ai pari
warna jab aatish mein rakkha mom aahan ho gaya
is qadar dud-e-jigar se mere wan kajal jama
band matam-KHane ka har ek rauzan ho gaya
naznin-e-ruh ko kyunkar na aar aae bhala
kis qadar mustamal apna jama-e-tan ho gaya
khai jab Thokar tere wahshi ko dam yaad aa gaya
us ko har ek sang-e-rah sang-e-falaKHan ho gaya
sina-e-ahbab par paDta hai apna har qadam
sair ke qabil nahin ye bagh madfan ho gaya
kal jo 'nasiKH' ne 'shahidi' ko pinhaya pairahan
na-tawani se gareban tauq-e-gardan ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.