aatish-e-ranj-o-alam sail-e-bala samne hai
ātish-e-ranj-o-alam sail-e-balā sāmne hai
paikar-e-ḳhāk meñ hone kī sazā sāmne hai
sho’la-e-jāñ hai mirā aur havā sāmne hai
zindagī jalva-numā hai ki qazā sāmne hai
har taraf DhūñDne vaalo ise dekho to sahī
vo kahīñ aur nahīñ hai ba-ḳhudā sāmne hai
mun'akis huuñ maiñ zamāne meñ zamāna mujh meñ
ḳhud bhī ā.īna huuñ aur ‘aks-numā sāmne hai
laġhzish-e-pā-e-tamanna kā bhī imkān nahīñ
jāda-e-shauq meñ gar us kī razā sāmne hai
kyā ḳhabar kaun sā jalva hai pas-e-parda-e-ġhaib
jis taraf dekhiye ik raaz nayā sāmne hai
phir vahī soz-e-darūñ merā vahī ġhaflat-e-jāñ
phir vahī sā'at-e-tajdīd-e-vafā sāmne hai
mujhe nāmūs-e-ġham-e-'ishq hai māne' varna
chārāgar baiThe haiñ pahlū meñ davā sāmne hai
apne baare meñ na khā 'ismat-e-yūsuf kī qasam
pahle ye dekh to le chāk-e-qabā sāmne hai
ham bhalā kaun se suqrāt-e-zamāñ haiñ jo 'zahīr'
roz ik zahr bharā jaam nayā sāmne hai
aatish-e-ranj-o-alam sail-e-bala samne hai
paikar-e-KHak mein hone ki saza samne hai
sho’la-e-jaan hai mera aur hawa samne hai
zindagi jalwa-numa hai ki qaza samne hai
har taraf DhunDne walo ise dekho to sahi
wo kahin aur nahin hai ba-KHuda samne hai
mun'akis hun main zamane mein zamana mujh mein
KHud bhi aaina hun aur ‘aks-numa samne hai
laghzish-e-pa-e-tamanna ka bhi imkan nahin
jada-e-shauq mein gar us ki raza samne hai
kya KHabar kaun sa jalwa hai pas-e-parda-e-ghaib
jis taraf dekhiye ek raaz naya samne hai
phir wahi soz-e-darun mera wahi ghaflat-e-jaan
phir wahi sa'at-e-tajdid-e-wafa samne hai
mujhe namus-e-gham-e-'ishq hai mane' warna
chaaragar baiThe hain pahlu mein dawa samne hai
apne bare mein na kha 'ismat-e-yusuf ki qasam
pahle ye dekh to le chaak-e-qaba samne hai
hum bhala kaun se suqraat-e-zaman hain jo 'zahir'
roz ek zahr bhara jam naya samne hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.