aatish-e-shauq ne pahle mujhe barbaad kiya
ātish-e-shauq ne pahle mujhe barbād kiyā
baa'd meñ us ne hunar ko mire faulād kiyā
hichkiyoñ ne mujhe kal raat satāyā hai bahut
us ne ġhusse meñ sahī mujh ko magar yaad kiyā
ibtidā meñ to kahānī ne lubhāyā thā bahut
us ke anjām ne lekin hameñ nāshād kiyā
ye tire jalvoñ kā adnā sā karishma hī to hai
ek munkir ko tire 'ishq ne sajjād kiyā
phuul khilte haiñ to lagtā hai tire hoñToñ ne
muskurāhaT ko baḌe naaz se āzād kiyā
us ke hāthoñ kī thī kaTh-putlī ye qismat goyā
jise chāhā use ābād yā barbād kiyā
aatish-e-shauq ne pahle mujhe barbaad kiya
ba'd mein us ne hunar ko mere faulad kiya
hichkiyon ne mujhe kal raat sataya hai bahut
us ne ghusse mein sahi mujh ko magar yaad kiya
ibtida mein to kahani ne lubhaya tha bahut
us ke anjam ne lekin hamein nashad kiya
ye tere jalwon ka adna sa karishma hi to hai
ek munkir ko tere 'ishq ne sajjad kiya
phul khilte hain to lagta hai tere honTon ne
muskurahaT ko baDe naz se aazad kiya
us ke hathon ki thi kaTh-putli ye qismat goya
jise chaha use aabaad ya barbaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.