aatishin lahr na barfab mein rakkhi jae
ātishīñ lahr na barfāb meñ rakkhī jaa.e
shab ġhunūda mire ā'sāb meñ rakkhī jaa.e
jis ke kirdār parindoñ kī tarah uḌte hoñ
vo kahānī mire asbāb meñ rakkhī jaa.e
ġhār-dar-ġhār bhaTakte hue maiñ chīḳh uThā
raushnī ab kisī mehrāb meñ rakkhī jaa.e
aañkh lag jaa.e tirī chāñd kī lorī sun kar
phir tirī niiñd mire ḳhvāb meñ rakkhī jaa.e
itnā āsān nahīñ merā junūnī honā
terī tasvīr bhī mahtāb meñ rakkhī jaa.e
jis jagah phuul ke bhī pankh hoñ titlī kī tarah
aañkh us qarya-e-shādāb meñ rakkhī jaa.e
dhuup jab mashk liye utre to māyūs na ho
chashm-e-girya koī tālāb meñ rakkhī jaa.e
aatishin lahr na barfab mein rakkhi jae
shab ghunuda mere aa'sab mein rakkhi jae
jis ke kirdar parindon ki tarah uDte hon
wo kahani mere asbab mein rakkhi jae
ghaar-dar-ghaar bhaTakte hue main chiKH uTha
raushni ab kisi mehrab mein rakkhi jae
aankh lag jae teri chand ki lori sun kar
phir teri nind mere KHwab mein rakkhi jae
itna aasan nahin mera jununi hona
teri taswir bhi mahtab mein rakkhi jae
jis jagah phul ke bhi pankh hon titli ki tarah
aankh us qarya-e-shadab mein rakkhi jae
dhup jab mashk liye utre to mayus na ho
chashm-e-girya koi talab mein rakkhi jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.