aatishin sailab mein jab ruh Dali jaegi
ātishīñ sailāb meñ jab ruuh Daalī jā.egī
tishnagī sadiyoñ kī ashkoñ se bujhā lī jā.egī
TūTtī dīvār kā saaya badan kī aabrū
jaane kab mere yaqīñ kī ḳhush-ḳhayālī jā.egī
tū ne bhī jhuTlā diyā harf-e-tafakkur kā vajūd
ab mirī āvāz kis jholī meñ Daalī jā.egī
iztirāb-e-jāñ hisār-e-sañg-bārī tañg kar
jism kī tahzīb zaḳhmoñ se ujālī jā.egī
āftāboñ kī basīrat sat.h par bedār hai
kis tarah ye vus.at-e-hastī khañgālī jā.egī
zulmat-e-shab ne jo Tapkā.ī hai merī ruuh par
vo amānat kaise sūraj se sañbhālī jā.egī
shahr meñ bedār kyoñ haiñ ḳhāk-o-ḳhūñ kī āñdhiyāñ
ye agar pūchhoge sachchā.ī chhupā lī jā.egī
DhūñDne ā.eñgī jab mujh ko mirī parchhā.iyāñ
muntashir majrūh jismoñ se duā lī jā.egī
shahr meñ baḌh jā.eñgī 'parvāz' jab pābandiyāñ
raushnī āñkhoñ kī muTThī meñ dabā lī jā.egī
aatishin sailab mein jab ruh Dali jaegi
tishnagi sadiyon ki ashkon se bujha li jaegi
TuTti diwar ka saya badan ki aabru
jaane kab mere yaqin ki KHush-KHayali jaegi
tu ne bhi jhuTla diya harf-e-tafakkur ka wajud
ab meri aawaz kis jholi mein Dali jaegi
iztirab-e-jaan hisar-e-sang-bari tang kar
jism ki tahzib zaKHmon se ujali jaegi
aaftabon ki basirat sath par bedar hai
kis tarah ye wusat-e-hasti khangali jaegi
zulmat-e-shab ne jo Tapkai hai meri ruh par
wo amanat kaise suraj se sanbhaali jaegi
shahr mein bedar kyon hain KHak-o-KHun ki aandhiyan
ye agar puchhoge sachchai chhupa li jaegi
DhunDne aaengi jab mujh ko meri parchhaiyan
muntashir majruh jismon se dua li jaegi
shahr mein baDh jaengi 'parwaz' jab pabandiyan
raushni aankhon ki muTThi mein daba li jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.