aawara bu-e-gul ki tarah hain chaman se dur
āvāra bū-e-gul kī tarah haiñ chaman se duur
laġhzīda-pā nahīñ haiñ magar ham vatan se duur
tārīk rāstoñ meñ bichhāte haiñ raushnī
aise bhī kuchh charāġh jale anjuman se duur
jis ne nasīm-e-sub.h ko baḳhshī hai tāzgī
ḳhushbū vo kis qadar hai pareshāñ chaman se duur
vo log jin kā ḳhuun hai rang-e-bahār meñ
rakkhā gayā hai un ko hī sehn-e-chaman se duur
sang-e-asās hone ke ehsās ne hameñ
ab tak rakhā hai lazzat-e-tash.hīr-e-fan se duur
ab us ko kyā kaheñ vahī fankār-e-vaqt hai
jo shaḳhs asr-e-nau meñ hai meyār-e-fan se duur
aawara bu-e-gul ki tarah hain chaman se dur
laghzida-pa nahin hain magar hum watan se dur
tarik raston mein bichhate hain raushni
aise bhi kuchh charagh jale anjuman se dur
jis ne nasim-e-subh ko baKHshi hai tazgi
KHushbu wo kis qadar hai pareshan chaman se dur
wo log jin ka KHun hai rang-e-bahaar mein
rakkha gaya hai un ko hi sehn-e-chaman se dur
sang-e-asas hone ke ehsas ne hamein
ab tak rakha hai lazzat-e-tashhir-e-fan se dur
ab us ko kya kahen wahi fankar-e-waqt hai
jo shaKHs asr-e-nau mein hai meyar-e-fan se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.