aawara-e-ghurbat hun Thikana nahin milta
āvāra-e-ġhurbat huuñ Thikāna nahīñ miltā
nāvak huuñ mujhe koī nishāna nahīñ miltā
jin logoñ meñ rahtā huuñ maiñ un meñ se nahīñ huuñ
huuñ kaun mujhe apnā zamāna nahīñ miltā
dīvār to is daur meñ miltī hai ba-har-gām
lekin tah-e-dīvār ḳhazāna nahīñ miltā
muddat se hai ashkoñ kā talātum pas-e-mizhgāñ
rone ke liye koī bahāna nahīñ miltā
muddat se tamannā hai ki ye bojh utāreñ
muddat se koī dost purānā nahīñ miltā
hai raḳhsh subuk-sair bahut umr-e-ravāñ kā
gir jaa.e koī shai to uThānā nahīñ miltā
aawara-e-ghurbat hun Thikana nahin milta
nawak hun mujhe koi nishana nahin milta
jin logon mein rahta hun main un mein se nahin hun
hun kaun mujhe apna zamana nahin milta
diwar to is daur mein milti hai ba-har-gam
lekin tah-e-diwar KHazana nahin milta
muddat se hai ashkon ka talatum pas-e-mizhgan
rone ke liye koi bahana nahin milta
muddat se tamanna hai ki ye bojh utaren
muddat se koi dost purana nahin milta
hai raKHsh subuk-sair bahut umr-e-rawan ka
gir jae koi shai to uThana nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.