aawargan-e-ishq ko isko KHabar kahan
āvārgān-e-ishq ko is kī ḳhabar kahāñ
hotī hai un ko shaam kahāñ aur sahar kahāñ
aaya abhī hai ashkoñ meñ ḳhūn-e-jigar kahāñ
puurī huī murād tirī chashm-e-tar kahāñ
ka.aba kahāñ hai dair kahāñ ye ḳhabar kahāñ
le jaa.e mujh ko dekhiye ab rāhbar kahāñ
anjām-e-ishq par hai hamārī nazar kahāñ
laale paḌeñge jaan ke ye thī ḳhabar kahāñ
sajde kī jā haiñ dair-o-haram āstān-e-yār
ab itnā dekhnā hai ki jhuktā hai sar kahāñ
aa.egī lauT kar shab-e-ishrat na phir kabhī
ye lutf rāt-bhar kā hai vaqt-e-sahar kahāñ
saaqī tahī na jaam de behosh maiñ nahīñ
piine ko maiñ ne pī hai magar is qadar kahāñ
hairat se dekhtā huuñ haram ko maiñ baar baar
laa.ī tirī talāsh mujhe khīñch kar kahāñ
kaahe ko aap aa.e the rindoñ meñ shaiḳh jī
ab be-piye janāb yahāñ hai mafar kahāñ
ai ġham-nasīb dil tujhe taskīn kyā maiñ duuñ
ye raat hai firāq kī is kī sahar kahāñ
ḳhāna-ḳharāb ho ga.e ulfat meñ jin kī ham
ab pūchhte vahī haiñ tumhārā hai ghar kahāñ
bahlā.e tujh ko kaun mire be-qarār dil
rahtā huuñ apne hosh meñ do do pahar kahāñ
pās-e-adab se tum se kahūñ kyā maiñ ai kalīm
behosh aise hote haiñ ahl-e-nazar kahāñ
maiñ to har ek shart mohabbat kī maan luuñ
qaa.em raheñge aap kisī baat par kahāñ
kahiye vo vaqt kyā huā Dhalne lagī hai dhuup
ab vo shabāb-o-husn kī hai dopahar kahāñ
vaa.iz hai do ghaḌī kā faqat shaġhl-e-mai-kashī
miltī hai mujh ko piine ko āThoñ pahar kahāñ
dil bhī hai zad pe aur jigar bhī hai sāmne
paḌte haiñ aa ke dekhiye tīr-e-nazar kahāñ
baaqī nigāh-e-yār ne rakkhā hai kyā yahāñ
dhuñdle se kuchh nishān haiñ qalb-o-jigar kahāñ
ruḳhsat shabāb kyā huā āñdhī utar ga.ī
vo josh vo ḳharosh vo ab shor-o-shar kahāñ
soz-e-darūñ kā haal maiñ kaise bayāñ karūñ
mere bajā havās haiñ ai chārāgar kahāñ
taqdīr ke sivā ise sayyād kyā kaheñ
kholī kahāñ thī aañkh rahe umr-bhar kahāñ
muddat huī hai tuur pe chhā.ī hai ḳhāmushī
jalve vo ab kahāñ haiñ vo ahl-e-nazar kahāñ
ye dair ye haram hai ye hai āstān-e-yār
ai dil hai kyā salāh jhukā.ūñ maiñ sar kahāñ
din meñ hai dilkashī na maza koī raat meñ
'ishrat' vo ab shabāb ke shām-o-sahar kahāñ
aawargan-e-ishq ko is ki KHabar kahan
hoti hai un ko sham kahan aur sahar kahan
aaya abhi hai ashkon mein KHun-e-jigar kahan
puri hui murad teri chashm-e-tar kahan
kaba kahan hai dair kahan ye KHabar kahan
le jae mujh ko dekhiye ab rahbar kahan
anjam-e-ishq par hai hamari nazar kahan
lale paDenge jaan ke ye thi KHabar kahan
sajde ki ja hain dair-o-haram aastan-e-yar
ab itna dekhna hai ki jhukta hai sar kahan
aaegi lauT kar shab-e-ishrat na phir kabhi
ye lutf raat-bhar ka hai waqt-e-sahar kahan
saqi tahi na jam de behosh main nahin
pine ko main ne pi hai magar is qadar kahan
hairat se dekhta hun haram ko main bar bar
lai teri talash mujhe khinch kar kahan
kahe ko aap aae the rindon mein shaiKH ji
ab be-piye janab yahan hai mafar kahan
ai gham-nasib dil tujhe taskin kya main dun
ye raat hai firaq ki is ki sahar kahan
KHana-KHarab ho gae ulfat mein jin ki hum
ab puchhte wahi hain tumhaara hai ghar kahan
bahlae tujh ko kaun mere be-qarar dil
rahta hun apne hosh mein do do pahar kahan
pas-e-adab se tum se kahun kya main ai kalim
behosh aise hote hain ahl-e-nazar kahan
main to har ek shart mohabbat ki man lun
qaem rahenge aap kisi baat par kahan
kahiye wo waqt kya hua Dhalne lagi hai dhup
ab wo shabab-o-husn ki hai dopahar kahan
waiz hai do ghaDi ka faqat shaghl-e-mai-kashi
milti hai mujh ko pine ko aaThon pahar kahan
dil bhi hai zad pe aur jigar bhi hai samne
paDte hain aa ke dekhiye tir-e-nazar kahan
baqi nigah-e-yar ne rakkha hai kya yahan
dhundle se kuchh nishan hain qalb-o-jigar kahan
ruKHsat shabab kya hua aandhi utar gai
wo josh wo KHarosh wo ab shor-o-shar kahan
soz-e-darun ka haal main kaise bayan karun
mere baja hawas hain ai chaaragar kahan
taqdir ke siwa ise sayyaad kya kahen
kholi kahan thi aankh rahe umr-bhar kahan
muddat hui hai tur pe chhai hai KHamushi
jalwe wo ab kahan hain wo ahl-e-nazar kahan
ye dair ye haram hai ye hai aastan-e-yar
ai dil hai kya salah jhukaun main sar kahan
din mein hai dilkashi na maza koi raat mein
'ishrat' wo ab shabab ke sham-o-sahar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.