aawargi ke naqsh ubhar kar bikhar gae
āvārgī ke naqsh ubhar kar bikhar ga.e
vo shab-guzār log na jaane kidhar ga.e
tajdīd-e-dostī ke sabab ye huā zarūr
kuchh zaḳhm taaza ho ga.e kuchh zaḳhm bhar ga.e
aa.e to hāthoñ-hāth liyā aur dam-e-vidā’
kāñdhoñ pe sab uThā.e hameñ chhoḌ kar ga.e
vo din bhī the ki madd-e-muqābil na thā koī
ye din bhī hai ki aa.ina dekhā to Dar ga.e
hamdard ġham-gusār mizāj-āshnā rafīq
kuchh log ās-pās the jaane kidhar ga.e
sar-basta raaz hī rahī ham par hamārī zaat
ham be-ḳhabar hī aa.e the aur be-ḳhabar ga.e
gumnām kar na paa.e to badnām kar diyā
ahbāb mere haq meñ baḌā kaam kar ga.e
'ḳhālid' jo kah rahe the ki hai 'umr-bhar kā saath
afsos merā saath vahī chhoḌ kar ga.e
aawargi ke naqsh ubhar kar bikhar gae
wo shab-guzar log na jaane kidhar gae
tajdid-e-dosti ke sabab ye hua zarur
kuchh zaKHm taza ho gae kuchh zaKHm bhar gae
aae to hathon-hath liya aur dam-e-wida’
kandhon pe sab uThae hamein chhoD kar gae
wo din bhi the ki madd-e-muqabil na tha koi
ye din bhi hai ki aaina dekha to Dar gae
hamdard gham-gusar mizaj-ashna rafiq
kuchh log aas-pas the jaane kidhar gae
sar-basta raaz hi rahi hum par hamari zat
hum be-KHabar hi aae the aur be-KHabar gae
gumnam kar na pae to badnam kar diya
ahbab mere haq mein baDa kaam kar gae
'KHalid' jo kah rahe the ki hai 'umr-bhar ka sath
afsos mera sath wahi chhoD kar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.