aawaz ki duri pe khaDa soch raha hun
āvāz kī duurī pe khaḌā soch rahā huuñ
ab kaun mujhe degā sadā soch rahā huuñ
chhoTī sī nazar aatī hai atrāf kī har shai
is vaqt maiñ kuchh itnā baḌā soch rahā huuñ
kyā sochnā thā mujh ko tire baare meñ lekin
afsos tire baare meñ kyā soch rahā huuñ
tū ne to mire baare meñ sochā bhī nahīñ hai
maiñ phir bhī koī achchhā burā soch rahā huuñ
jis din se uThīñ mujh pe tirī sabz sī āñkheñ
maiñ peḌ nahīñ phir bhī harā soch rahā huuñ
nuqsān bahut se the ga.e saal ke 'dānish'
lekin tire baare meñ baḌā soch rahā huuñ
aawaz ki duri pe khaDa soch raha hun
ab kaun mujhe dega sada soch raha hun
chhoTi si nazar aati hai atraf ki har shai
is waqt main kuchh itna baDa soch raha hun
kya sochna tha mujh ko tere bare mein lekin
afsos tere bare mein kya soch raha hun
tu ne to mere bare mein socha bhi nahin hai
main phir bhi koi achchha bura soch raha hun
jis din se uThin mujh pe teri sabz si aankhen
main peD nahin phir bhi hara soch raha hun
nuqsan bahut se the gae sal ke 'danish'
lekin tere bare mein baDa soch raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.