Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaya hun baDi dur se bigDi ko banane

Raja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami

aaya hun baDi dur se bigDi ko banane

Raja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami

MORE BYRaja Abdul Ghagoor Jauhar Nizami

    aaya huuñ baḌī duur se bigḌī ko banāne

    biite hue ayyām afsāna sunāne

    matlab na tirī bazm se hai aur na tujh se

    aaya huuñ faqat tishnagi-e-zauq bujhāne

    ro detī thiiñ āñkheñ tirī kal tak mire ġham meñ

    kyā baat hai kyoñ aaj lage aañkh churāne

    kyoñ merī tamannāoñ ko pāmāl kiyā hai

    kyoñ tark-e-mohabbat ke tarāshe haiñ bahāne

    kyoñ ahd-e-mohabbat ko farāmosh kiyā hai

    kyā bhuul ga.e tum ko vo rangīn zamāne

    merī taraf dekh maiñ nādān huuñ kitnā

    rūThī huī taqdīr ko aaya huuñ manāne

    ab kar ke jafā.eñ hameñ nāshād karoge

    jab ham bhī na hoñge to bahut yaad karoge

    aaya hun baDi dur se bigDi ko banane

    bite hue ayyam ka afsana sunane

    matlab na teri bazm se hai aur na tujh se

    aaya hun faqat tishnagi-e-zauq bujhane

    ro deti thin aankhen teri kal tak mere gham mein

    kya baat hai kyon aaj lage aankh churane

    kyon meri tamannaon ko pamal kiya hai

    kyon tark-e-mohabbat ke tarashe hain bahane

    kyon ahd-e-mohabbat ko faramosh kiya hai

    kya bhul gae tum ko wo rangin zamane

    tu meri taraf dekh main nadan hun kitna

    ruThi hui taqdir ko aaya hun manane

    ab kar ke jafaen hamein nashad karoge

    jab hum bhi na honge to bahut yaad karoge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now