aaya hun dur se main to kar ke safar yahan
aaya hun dur se main to kar ke safar yahan
Ahmad Masood Quraishi
MORE BYAhmad Masood Quraishi
aaya huuñ duur se maiñ to kar ke safar yahāñ
rahtā hai asl meñ mire dil kā nagar yahāñ
shirkat hai merī aaj bhī un kī hī bazm meñ
aaya hai shā.erī kā mujhe ab hunar yahāñ
kar dī hai zindagī to tire naam jān-e-jāñ
duniyā ye sang tere hī hogī basar yahāñ
kaisā huuñ maiñ idhar mirī sehat bhī hai nahīñ
masrūf haiñ sabhī hī kisī ko ḳhabar yahāñ
māyūs mat ho jag se ḳhushī bhī hai ġham bhī hai
āñgan meñ ek din tire hogī sahar yahāñ
aaya hun dur se main to kar ke safar yahan
rahta hai asl mein mere dil ka nagar yahan
shirkat hai meri aaj bhi un ki hi bazm mein
aaya hai shaeri ka mujhe ab hunar yahan
kar di hai zindagi to tere nam jaan-e-jaan
duniya ye sang tere hi hogi basar yahan
kaisa hun main idhar meri sehat bhi hai nahin
masruf hain sabhi hi kisi ko KHabar yahan
mayus mat ho jag se KHushi bhi hai gham bhi hai
aangan mein ek din tere hogi sahar yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.