aaya na rah par wo sitamgar kisi tarah
aaya na rah par wo sitamgar kisi tarah
Ahmad Shah Khan Shabnam
MORE BYAhmad Shah Khan Shabnam
aaya na raah par vo sitamgar kisī tarah
sīdhā huā na apnā muqaddar kisī tarah
sar phoḌiye ki khīñchiye naale firāq meñ
hogā na vasl-e-yār mayassar kisī tarah
qātil ne koshisheñ to hazāroñ hī kiiñ magar
niklā na dam mirā tah-e-ḳhanjar kisī tarah
badlā leñ un butoñ se sitam kā to ḳhuub ho
sun le hamārī dāvar-e-mahshar kisī tarah
vahshat ne laakh laakh ubhārā hameñ magar
chhoḌā na ham ne kūcha-e-dilbar kisī tarah
minnat bhī kī ḳhushāmadeñ bhī kiiñ hazār baar
aaya na mere ghar vo sitamgar kisī tarah
'shabnam' vahī hai us kī kachāvaT abhī talak
badle na ham ne yaar ke tevar kisī tarah
aaya na rah par wo sitamgar kisi tarah
sidha hua na apna muqaddar kisi tarah
sar phoDiye ki khinchiye nale firaq mein
hoga na wasl-e-yar mayassar kisi tarah
qatil ne koshishen to hazaron hi kin magar
nikla na dam mera tah-e-KHanjar kisi tarah
badla len un buton se sitam ka to KHub ho
sun le hamari dawar-e-mahshar kisi tarah
wahshat ne lakh lakh ubhaara hamein magar
chhoDa na hum ne kucha-e-dilbar kisi tarah
minnat bhi ki KHushamaden bhi kin hazar bar
aaya na mere ghar wo sitamgar kisi tarah
'shabnam' wahi hai us ki kachawaT abhi talak
badle na hum ne yar ke tewar kisi tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.