aaya tha apni zist mein ek aisa bab bhi
aaya thā apnī ziist meñ ik aisā baab bhī
thā ḳhvāb apne sāmne tābīr-e-ḳhvāb bhī
aane se us ke phail ga.ī chār-sū mahak
jaise ki khil ga.e hoñ saman aur gulāb bhī
maiñ kyā batā.ūñ kitnā hasīñ lag rahā thā vo
hairat se tak rahā thā use māhtāb bhī
sun kar mirā savāl use chup sī lag ga.ī
mujh ko hī sochnā paḌā us kā javāb bhī
kis tarah bhuul jā.ūñ maiñ us ko jo mere paas
ḳhushbū bhī apnī chhoḌ gayā aur kitāb bhī
'kāshif' rasā.ī us talak āsān hai kahāñ
koh-e-girāñ hai raah meñ aur phir chanāb bhī
aaya tha apni zist mein ek aisa bab bhi
tha KHwab apne samne tabir-e-KHwab bhi
aane se us ke phail gai chaar-su mahak
jaise ki khil gae hon saman aur gulab bhi
main kya bataun kitna hasin lag raha tha wo
hairat se tak raha tha use mahtab bhi
sun kar mera sawal use chup si lag gai
mujh ko hi sochna paDa us ka jawab bhi
kis tarah bhul jaun main us ko jo mere pas
KHushbu bhi apni chhoD gaya aur kitab bhi
'kashif' rasai us talak aasan hai kahan
koh-e-giran hai rah mein aur phir chanab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.