aaya hai magar ishq mein dildar hamara
aayā hai magar ishq meñ dildār hamārā
har tan meñ huā jaan har ik jism kā nyārā
be-misl us ke husn ko kahte haiñ do-ālam
distā hai har ik ḳhalq ko apne suuñ piyārā
man-kān na ho yaar ke darsan ko na jaane
aayā nahīñ kui phir ke jahāñ biich dobārā
us sham-e-daraḳhshāñ ko apas saath tū le jā
var nahiñ to qabar biich hai zulmāt añdhārā
karne meñ jamā zar ke gañvātā hai umar kyuuñ
āḳhir ko nikal jā.egā sab chhoḌ zarārā
farzand-o-azīzān sakal ḳhvesh qabīla
duniyā hai daġhābāz nahīñ koī tumhārā
behad hai 'alīm' ishq ke ta.alīm kā tūmār
paayā nahīñ kui ishq ke dariyā kā kinārā
aaya hai magar ishq mein dildar hamara
har tan mein hua jaan har ek jism ka nyara
be-misl us ke husn ko kahte hain do-alam
dista hai har ek KHalq ko apne sun piyara
man-kan na ho yar ke darsan ko na jaane
aaya nahin kui phir ke jahan bich dobara
us sham-e-daraKHshan ko apas sath tu le ja
war nahin to qabar bich hai zulmat andhaara
karne mein jama zar ke ganwata hai umar kyun
aaKHir ko nikal jaega sab chhoD zarara
farzand-o-azizan sakal KHwesh qabila
duniya hai daghabaz nahin koi tumhaara
behad hai 'alim' ishq ke talim ka tumar
paya nahin kui ishq ke dariya ka kinara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.