aaya kabhi KHayal to dil se lipaT gaya
aayā kabhī ḳhayāl to dil se lipaT gayā
kaise samā ke phir koī jīvan se haT gayā
purvā chalī thī gāñTh ko āñchal se bāñdhne
dāman ghaTā kā haath meñ aate hī phaT gayā
baiThe haiñ shaam oḌh ke tanhā.iyoñ meñ ham
ik hans apnī Daar se jaise ho kaT gayā
badlā nagar ne baaḌh kā muñh apnī samt se
nadiyā meñ bah ke gaañv kā chhoTā sā taT gayā
jhoñkā sā thā kyā chulbulā pariyoñ ke desh kā
barsoñ kī sādhnā kā vo aasan ulaT gayā
bhūle se aayā megh kabhī dhuup ke nagar
man-mor nāchne se vo pahle hī chhaT gayā
talvāreñ mandiroñ se nikal kar jhapaT paḌīñ
sadiyoñ purānā sar kā chamaktā mukaT gayā
aaya kabhi KHayal to dil se lipaT gaya
kaise sama ke phir koi jiwan se haT gaya
purwa chali thi ganTh ko aanchal se bandhne
daman ghaTa ka hath mein aate hi phaT gaya
baiThe hain sham oDh ke tanhaiyon mein hum
ek hans apni Dar se jaise ho kaT gaya
badla nagar ne baDh ka munh apni samt se
nadiya mein bah ke ganw ka chhoTa sa taT gaya
jhonka sa tha kya chulbula pariyon ke desh ka
barson ki sadhna ka wo aasan ulaT gaya
bhule se aaya megh kabhi dhup ke nagar
man-mor nachne se wo pahle hi chhaT gaya
talwaren mandiron se nikal kar jhapaT paDin
sadiyon purana sar ka chamakta mukaT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.